I want you wrapped inside me.

Shayari

“Kitna mushkil hai zindagi ka safar,
Khuda ne Marna Haram kiya,
Logon ne jeena”

“I think we forget things if we have no one to tell them to”

“Pasand karna aasan hai,
pasand karte rehna mushkil hai”

“Andhere se kehdo Bachpan beet chuka hai,
Ab tujhse darr nahin sukoon milta hai”

“Tu bechain nahin,
Mujhe chain nahin,
Tujhe zaroorat nahin, meri aur koi zaroorat nahin,
Bade lambe arse ke baad kisi se dosti karni chaahi,
Tujhe kadar nahin, mujhe sabar nahin.”

“Ham aakhri saans tak yaar tere hai,
Dil pe saare ikhtiyaar tere hai,
Tum aao toh neend nahin aati,
Neend aayi toh saare khwab tere hai.”

“Usne dil ka haal batana chhod diya,
Humne mein gehrai mein jana chhod diya,
Jab usko hi doori ka aehsas nahin,
Hamne bhi aehsaas Dilana chhod diya”

“Bicchad gaye, toh ye dil umra bhar lagega nahin,
Lagega Lagne laga hai, Magar lagega nahin,
Nahin lagega use dekh kar, magar khush hai,
Main khush nahin hun, magar dekh kar lagega nahin.”

“Yaadein pagal kar deti hai,
Baatein pagal kar deti hai,
Din toh khair guzar jaata hai,
Raatein pagal kar deti hai.”

“Ye ek ajab sa rog hai,
Arse se hua karta hai,
Ye Jo dil hai ha mera Sirf Wafa karta hai,
Aur ye toh Teri yaadon ne meri aankho ki chamak kha lee hai,
Bawale log kehte hai ladka nasha karta hai”

“Ruswa toh tujhe bhi kardoo,
Lekin Baaki abhi mujhe lihaaz hai,
Poora sheher mera mureed,
Bas tera mohalla mere khilaaf hai”

“Zindagi guzar gayi sabko khush karne mein,
Jo khush hue wo apne nahin the,
Aur joh apne the wo kabhi khush nahin hue.”

“Jaante hue bhi anjaan Banti ho,
Is tarah mujhe pareshaan karti ho,
Puchhti ho mujhe kya pasand hai,
Jawab khud ho phir bhi sawal karti ho”

“Khandan se mere haalaat nahin milte,
Khoon milta hai khayaalaat nahin milte.”

“Dost bhi zaroori hai iss zindagi ki bheed mein,
Raat ko chai peene, Mehboob aaya nahin karte.”

“Zindagi chhoti nahin hoti, hum jeena hi der se shuru karte hai, jabtak raaste samajh mein aate hai,
Tab tak Lautne ka waqt hojata hai.”

“All my life I’ve been yearning for a thing I cannot name”

“Jab ho Gaya kamaal toh cigarette jala liya,
Ya phir hua malaal, toh cigarette jala liya,
Khud par kisi ko hasne ka mauka nahin diya,
Puchha kisine haal toh cigarette jala liya.”

“ना कोई हमदर्द था, ना कोई दर्द था,
फिर एक हमदर्द मिला,
उसी से सारा दर्द मिला.”

“Beshak rahenge Tere kadmon mein hum,
Zamano ke hum sar pr chadhte hai.
Kyun sune kisse mohobbat ke phir,
Jab Har kahani mein Sirf ashiq hi marte hai.”

“Lambi umar ki dua mere liye na maang.
Aisa na ho tu bhi chhod de aur maut bhi na aaye”

“100 baar kaha dil se, chal bhool bhi ja usko,
Harr baar kaha dil ne, tum dil se nahin kehte.”

“Maana, ke hum adab se baat nahin karte,
Par ye maano, matlab se baat nahin karte,
Ye naram lehja, pyaari baatein, tere liye hai,
Hum iss lehje mein sabse baat nahin karte.”

“Hum tere gam ke paas Baithe the,
Doosre gam udaas Baithe the,
Doston ne hasaa diya aakar,
Acche khaase udaas Baithe the”

Dekho, hai kitna bechara pagal,
Dar Badar bhatakta hai, besahara pagal,
Ek baar ko toh aya Taras meri haalat par
Phir unhone kaha mujhe dobara pagal,
Humne khat mein likha haal-e-dil apna,
Aur uss khat ke aakhir mein likha tumhara pagal.

Padh raha hun Isha ki Kitaab dosto,
Ban Gaya vakil toh bewafao ki khair nahin!

Yahan tum dekhna rutba hamara,
Hamari ret hai dariya hamara,
Kisi se kal pitaji keh rahe the,
Mohobbat khaa gayi ladka hamara.

Kaise aayega koi khwaab mujhe,
Neend aati nahin janaab mujhe,
Teri Chup se, Teri khaamoshi se,
Mil Gaya hai mera jawaab mujhe,
kuch dino, main sharab peeta raha,
Aur phir pee gayi sharab mujhe

Paayalein ijaad hui hongi, jab kadam usne uthaye honge,
Jab Baal kaan se hataye honge tab jhumke kisi ne banae honge,
Jab hua hoga chehra mayassar duniya ko uska,
Tab jaake logon ko khwaab dekhne aaye honge,
Bakshi hui hongi koylon ko jabaanei
Sur kisi ne uski aankho se churae honge,
Mohobbat ye lafz ijaad hua hoga, jab honth Uske thartharaye honge,
Khuda ne yakinan tujhko khoya hoga,
Ye baarish nahin hai hai ye usne roya hoga

tumhein toh zindagi ke har dukh bataye the,
tumhara toh haq nahin banta tha dukh dene ka

“tum naraaz naraaz lagti ho, koi tarqeeb batao manaane ki,
ham apni jaan girvi rakh deinge, tum keemat batao muskuraane ki”

Koi duniya mein chehra dekhta hai,
Koi chehre mein duniya dekhta hai,
Teri aankhon mein, bas yahi dekhta hun,
Meri aankho mein tu kya dekhta hai.

साथ निकले थे जिंदगी, और मै,
वो तो आगे निकल गई, और मै,
मेरा गम जानते है बस दो लोग, आईने मै वो आदमी, और मै,
कभी लगता है खुदखुशी कर लु, कभी लगता है, खुदकुशी? और मै?

के तुमसे इश्क नहीं होता, तो करना जरुरी नहीं,
किसी को बीच राह मै छोडना मजबुरी नहीं,
और खेलने के लिये खिलौने होते है, किसी के मासूम दिल को दिल को तोडा नहीं करते,
प्यार किसी एक शख्स से होता है, हर किसी से थोडा थोडा नहीं करते!

मुझे उदास कर गये हो, खूश रहो,
मेर मिजाझ पढ रहे हो, खूश रहो,
मेर लिये ना रुक सके तो क्या हुआ, जहा कही ठेहेर गये हो, खूश रहो,
खुशी हुई आज तुम्हें देखकर, बोहोत निखर सवर गये हो, खूश रहो,
किसी की जिंदगी बनो की बंदगी,
मेरे लिये तो मर गये हो, खूश रहो.

ऐसे देखा करता था मै,
उस्की झील सी आंखे,
जैसे कोई देख रहा हो,
पहली बार समंदर!

हम तेरे साथ जरूर खुलेंगे, सबर कर,
एक रोज तुझे अकेले मिळेंगे, सबर कर,
इशारे इश्क मै वक्त लगता है,
फिल्हाल तो बस इतना कहेंगे,
सबर कर.

Main apni dono taraf ek sa hun tere liye,
Kisi se shart laga phir mujhe ucchhal ke dekh

Ghar ki deewar par Nakhoon se likhenge,
Teri bewafai hum sukoon se likhenge,
Khat siyaahi se likhe toh faad deti ho,
Iss baar khat tumhe khoon se likhenge

Harr roz dil udaas hota hai, Shaam guzar jaati hai,
Ek roz Shaam udaas hogi aur hum guzar jaenge

Ranjish hi sahi, dil hi dukhaane ke liye aa,
Aa, phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa,
Kis kis ko batayenge judaai ka sabab hum,
Tu mujhse khafa hai, toh zamaane ke liye aa

Hum jhooton ke sheher mein sach bol baithe,
Wo namak ka sheher tha, aur hum Zakhm khol baithe.

Aaj ek baat toh batao mujhe, zindagi— khwaab kyun dikhati hai,
Kya sitam hai, ki ab Teri surat, gaur karne pe yaad aati hai,
Aur Kaun iss ghar ki dekhbhaal Kare, roz ek nayi cheez toot jaati hai.

Kyun tu accha lagta hai, waqt mila toh sochenge,
Tujhmein kya kya dekha hai, waqt mila toh sochenge,
Mausam, khooshbu, baad-e-saba, chaand, shafaq aur taaron mein,
Kaun tumhare jaisa hai, waqt mila toh sochenge

Ek Shaam aaunga tumhare ghar pe ek haath mein guldasta lekar,
Tumhe kahunga ke chalo mere saath,
Raat ko tanha baithenge,
Kuch baatein karenge,
Kuch shayari sunaenge,
Aur mein saari raat, tumko aisa hi dekhta rahunga,
Aur chaand chillata rahega,
Main chaand hoon,
Main chaand hoon,
Main chaand hoon.

Jheelein kya hai,
Teri aankhe.
Umda kya hai,
Tera chehra.
Khushboo kya hai,
Teri saanse
Khushi kya hai,
Tera hona.
Toh gam kya hai,
Tujhse judai
Sawan kya hai,
Tera Rona,
Sardi kya hai,
Teri udaasi
Garmi kya hai,
Tera gussa
Aur Baharein?
Tera hasna
Meetha kya hai,
Teri baatein,
Kadwa kya hai?
Meri baatein?
Kya padhna hai?
Tera likha
Kya Sunna hai?
Teri gazlein
Lab mi khwaaish?
Tera maatha
Zakhm ki khwaaish,
Tera chhhoona
Dil ki khwaaish?
Tujhe paana
Duniya kya hai?
Ek jungle hai,
Aur tum kya ho?
Ped samajh lo
Aur wo kya hai?
Ek Raahi hai
Kya socha hai?
Tumse mohobbat
Kya karta hun?
Tumse mohobbat
Uske ilaawa?
Tumse mohobbat
Matlab peshaa
Tumse mohobbat
Tumse mohobbat
Tumse mohobbat

Dekho,
Hum koi wehshi nahin, deewanay hai,
Tumse button khulwane nahin, lagwane hai.

Ke aap ki iss adaa ka kya jawaab du
Apne dost ko kya dua du
Koi accha sa ful hota,
Toh maali se mangwa leta
Jo khud gulab ho use kya gulab du

Tum naraaz naraaz lagti ho,
Koi tarqeeb batao manane ki
Hum apni jaan girvi rakh denge
Tum keemat batao muskuraane ki

Bada mushkil hai kisi ko dil apna yaar dena,
Kisi ke naa par jhukna, apni zid maar dena,
Wo jab der se aaye toh bas uska intezaar karna,
Tumhe der hojae, toh uske nakhro ko pyaar dena,
Rakib use manane ka aasan tareeka ye hai,
Wo jab Zyada gusse mein ho tab uski zulfein Sawaar dena.

Jab agle saal, yahi waqt aa raha hoga,
Ye Kaun jaanta hai Kaun kis jagah hoga,
Tu mere saamne baitha hai, aur main sochta hun,
Ke aate lamho mein Jeena bhi saza hoga,
Hum apne apne bakhedo mein fas chuke honge,
Na tujhko mera na mujhko Tera pata hoga,
Aur yahi jagah Jahan ham aaj milke Baithe hai,
Isi jagah pe kal khuda jaane kal ko kya hoga
Aur bicchadne wale tujhe dekh dekh sochta hun
Tu phir milega toh kitna badal chuka hoga.

Sochta hun, ke uski yaad aakhir,
Ab kise raat bhar jagaati hai,
Kaun iss ghar ki dekhbhaal Kare,
Roz ek nayi cheez toot jaati hai.

Koi Manzil nahin jachti,
Safar accha nahin lagta,
Agar ghar laut bhi aaun,
Toh ghar accha nahin lagta
Karoon kuch bhi main ab toh
Duniya ko sab accha hi lagta hai,
Mujhe kuchh bhi tumhare bin magar accha nahin lagta.

Usey sabar karna seekha rahi hai zindagi,
Jisey harr cheez zid karke lene ki aadat thi.

Sab karlena lamhe zaya mat karna,
Galat jagah par zazbe zaya mat karna,
Jin logo ko khamoshi ki kadar na ho,
Un par apne lehje zaya mat karna
Jinki aankhein pyaari baatein jhooti ho,
Unke khatir Sapna zaya mat karna,
Yaad ka Ek darwaza band na karna dost,
Mere khat aur tohfe zaya mat karna,
Aur saada hun brands pasand nahin mujhko,
Mujhpr apne paise zaya mat karna

Kitne aish se rehte honge,
Kitne itraate honge,
Jaane kaise log wo honge jo usko bhaate honge,
Yaaro kuch toh zikr karo tum uski qayamat baahon ka,
Wo jo simatate honge unmein woh toh mar jaate honge

Mujhe sharaab pilayi gayi hai aankhon se,
Mera nashaa toh hazaro baras mein utrega

Dil mein iss qadar mohabbat hai unke liye,
Ki soye toh khwaab unke, ki jaage toh khyaal unke

Qayamat tak yaad karoge kisi ne dil lagaya tha,
Ek hone ki umeed bhi na thi fir bhi pagalo ki tarah chaha tha

hamein pata hai ki tum kahin aur ke musafir ho,
hamara shehar toh bas yun he raste main aaya tha

Aur phir meine sari zindagi jis cheez ki khuwahish ki wo muhabbat thi,
Aur wo wahid cheez jo mujhe sari zindagi na mili wo bhi muhabbat hai

Ye laali, ye Kajal, aur ye zulfein khuli khuli
Arey aise hi jaan maang lete,
Itne intezaam ki kya zarurat thi.

Tu bilkul chaand ki tarah hai,
Noor bhi, guroor bhi, aur bhi door bhi.

Tumhari pasand laazmi hai,
Tum pasand uski ho,
Jise koi pasand nahin aata.

Tere paas aane mein aadhi Umar guzri hai,
Aadhi umar guzar jaegi, tujhse door jaane mein.

Itne zaalim naa Bano, kuchh toh reham karo,
Ke tum par marte hai, toh kya maar hi daaloge.

Agar milti mujhe ek din ki baadshaahi,
Meri rihaasat me tumhari tasveer ke sikke chalte.

Itni si baat par mein tumhe chhod dunga kya,
Tum laakh bad dimaag sahi meri jaan to ho.

Aao duniya baant lei
Tum meri, aur Baaki sab tumhara.

Ho sake, toh waqt nikal kr aajaya karo,
Humse mil liya karo,
Kya pata jab tumhare paas waqt ho, hum na ho.

Ek Umar guzarni hai tere bagair,
Aur ek Lamha hai jo hamse guzara nahin jaata.

Dil mein reh-reh ke khayaal aata hai,
zindagi yeh hai, toh phir maut kise kehte hain

Mere haathon ne pakda hai unhein kai baar rangei haath,
Wo Isha karna toh chahate hai magar ghabraate bohot hai. 20/01/24

Thoda bohot humne bhi kamaa rakha hai,
Ek Kohinoor ko yaar bana rakha hai. 21/01

Tum jab aaogi, toh khoya hua Paogi mujhe.
Meri tanhaayi mein, khwaabon ke sivaah kuch bhi nahin.
Mere kamre ko, sajaane ki tamannah hai tumhe,
Mere kamre mein, kitaabon ke sivaah kuch bhi nahin.

Kuch toh khaas hai jo tujhe mujhse jode rakhta hai,
Varna itna maaf toh Maine khud bhi nahin kiya.

Raste khubsurat hai lb tumhare saath,
Manzil ki filhaal baat nahin karte.

Main chaand toh Tod ke laane se raha,
Tu zid karegi toh ek aaena de dunga.

Jo guzari na jaa saki humse,
Humne wo zindagi guzari hai.

Baat khatam hogi qabar ki mitti par,
Main tumhe zinda nahin bhool sakta.

But I desire you, in order, I think to destroy you.

Conquer her heart— then depart, slowly. Leave her between death and madness. That’s how you really kill someone.

You’ll search for me inside of everyone you’re with and I won’t be found.

Ye sach hai ki dard e dil kisi se chupaya nahin,
Ha par jaa kar kisi ko bataya nahin,
Harf nahin, khushboo thi unme,
Tere khaton ko faada jalaya nahin,
Aur jo jo likha wo sab tumhara tha,
Apna to toh ek bhi sher maine sunaya nahin.

You breathe life back into me.

Ye sard raat, ye aawargi, ye neend ka boj,
Hum apne sheher mein hote toh ghar chale jaate.

Shauk se todo dil mera,
Mujhe kya hairaan karoge,
Tum hi toh rehte ho ismein,
Apna hi ghar veeraan karoge.

Sab kehte hai phir se karlo mohobbat,
Bhala doosri baarish mein mitti mehekti hai kabhi?

Muskurahat dekh kar unki
hum hosh gawa baithe,
hum hosh mein aane ko hi the,
woh phir mushkura baithe.

Sharm, Dehshat, Jhijhak, Pareshani,
Naaz Se Kaam Kiyun Nahin Leti ?
Aap ! Wo ! Jee ! Magar ! Ye Sab Kya Hai ?
Tum Mera Naam Kiyun Nahi Leti ?

Teri khushbu hee nahi jaati
Jism apna utaar fainku kya

Apne bachchon se kehna
Wo budha shayar
Mujh pr har roz ek naya sher kaha karta tha

Kya kahu main zindagi ke baare mein,
Wo log hi bicchad gaye jo zindagi hua karte the

Wo man bana chuke the jaane ka,
Aur mujhe laga mujhe manana nahin aata

Ek Umar kati do alfaaz mein,
Ek aas mein, aur ek kaash mein

“dil na-umid to nahin nakam hi to hai, lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai.”

Khamoshi se matlab nahi matlab baato se hainn
Din toh guzar hi jaaege masla raato se hainn

Pagal kar deti hai mohabbat, har mohabbat karne walo ko,
Kyun ki ishq haar nahin maanta, aur dil baat nahin maanta.

Uske ek ishaare par main maut se bhi lad jaata tha,
Wo kehta tha, ye karna hai, aur main kar jata tha,
Aaj agar wo mar bhi jaaye to bhi farak nahin padta,
Jiska jawab na aane par dil zakhmon se bhar jata tha,
Jalan nahin thi, khauf tha mujhko, uske juda ho jaane ka,
Wo jisse has kar milta tha main dil mein dar jaata tha,
Aaj ishaare par usko footpath pe dekh kar yaad aaya,
Ye tha jisko ghar pahunchakar main apne ghar jaata tha!

Main nahin chahta tu mere bulaane se aaye,
Main chahta hai tu reh na paaye aur kisi bahaane se aaye.

Mohabbat mein apne sar aisi bala leta hun,
Ek bujhti nahin doosri jala leta hun.

Kaise bhuladun main usko,
Maut insaano ko aati hai,
Yaadon ko nahin

Ye laali, ye Kajal, aur ye zulfein khuli khuli
Arey aise hi jaan maang lete,
Itne intezaam ki kya zarurat thi.

Iss kadar giraftaar hai teri yaadon mein,
Humein raasta rihaayi ka dikhe bhi,
Toh hum nazar-andaaz kar dein

Pyaara sa dil, masoom sa chehra, mithi si muskaan,
Ye toh hui meri baat, aur batao,
Aap kaise ho?

Ab teri shikayat kisse kare,
Harr shakhs se kaha tha tujhse behtar koi nahin.

Khwaabon ki duniya mein hum khote gaye,
Hosh mein the, phir bhi madhosh hote gaye,
Na jaane kya jaadu tha, uss ajanabi chehre mein,
Khud ko bohot roka, phir bhi uske hote gaye.

Tapte sehraon mein sabke sar pe aanchal ho gaya,
Usne zulfein khol di aur masla hal ho gaya,
Usne baaton baaton mein mujhse kaha, pagal ho kya?
Aur phir duniya ne dekha ke main pagal ho gaya.

Sharaab tumhara kuch nahin bigadegi,
Tum ek shakhs ke nashe mein maroge.

Meri saanson mein bikhar jao, toh accha hai,
Banke rooh, mere jism mein utar jao, toh accha hai,
Kisi raat teri godh mein sar rakh kar so jaoon,
Uss raat ki subah hi na ho toh accha hai.

Kya takalluf kare, ye kehne mein,
Jo bhi khush hai, hum usse jalte hai.

Teri aankhon ke siva is duniya mein rakha kya hai,
Main khoobsoorat chaand na dekhu,
Taare na dekhu,
Koi gila nahi,
Jo teri aankhe dekh li, aur bhi khubsurat dekhne ko bacha kya hai.

Tum haqiqat nahin ho, hasrat ho,
Jo mile khwaab mein wo daulat ho,
Kis tarah chhod dun, tumhen jaana,
Tum meri zindagi ki aadat ho,
Daastaan khatm honewali hai,
Tum meri aakhri mohabbat ho.

Wo phirse aankho mein kajal laga kar aayi hai,
Maine bataya tha use mujhe tairna nahin aata

Dil-e-nadaan tujhe hua kya hai,
Aakhir iss dard ki dawa kya hai,
Dil takleef mein hai aur takleef dene wala dil mein.

Sukoon girvi hai unke paas,
Mohobbat karz li thi jinse.

Maine kaha wo ajanabee hai,
Dil ne kaha ye hi toh dillagi hai
Maine kahan woh sapna hai,
Dil ne kahan phir bhi apna hai,
Maine kahan wo do pal ki mulaaqaat hai,
Dil ne kaha ye sadiyo ka sath hai,
Maine kaha ye meri bhool hai,
Dil ne kaha phir bhi qabool hai,
Maine kaha wo meri haar hai,
Dil ne kaha yehi toh pyaar hai.

Wo jab yahan tha,
Tab hum dekhte na the uske,
Wo ja rahe hai toh hum khidkiyan badalte hai.

उसी जगह पर जहाँ कई रास्ते मिलेंगे
पलट के आए तो सबसे पहले तुझे मिलेंगे
अगर कभी तेरे नाम पर जंग हो गई तो
हम ऐसे बुज़दिल भी पहली सफ़ में खड़े मिलेंगे
तू जिस तरह चूमकर हमे देखता है,
हम एक दिन तेरे बाजूओ मै मरे मिलेंगे

जैसे हम लोग देख सकते है,
वैसे कम लोग देख सकते है,
तुझको देखा तो ये यकीन हुआ,
यानी हम लोग देख सकते है

Isse zyada tujhe aur kitna qareeb laaun main,
Tujhe dil mein rakh kar bhi, mera dil nahin bharta.

Sochun, toh saari umr mohabbat mein kat gayi,
Dekhu, toh ek shaqhs bhi mera nahin hua.

Hamesha ke liye rakh lo na paas apne,
Koi pucche toh keh dena, dil hai mera

Kahan se laaun wo lafz jo tujhe sunaai de,
Duniya dekhe chaand ko,
Mujhe sirf tu dikhaai de

Ye bhi kya sazaa se kam hai,
Baarish mein geeli mitti ki khooshbu odh kar sona,
Yaadon mein mehfooz
Par mehboon saath na hona.

Jo khush ho toh khyaal tak na aayein tumhe mera,
Jo pareshaan ho toh kabhi akele mat rona.

Ab bhaag kar bhi kahan jaaunga tumse,
Tum khud se zyada mujhmein rehti ho.

Main kya kahun, ke mujhe sabr kyun nahin aata,
Main kya karu ke mujhe tujhe dekhne ki aadat hai

Shikaayat ki paayi paayi jod kar rakhi thi,
Usne gale laga kar saara hisaab bigaad diya.

Hass ke guzaar leta hun din apna,
Khud se toh main shaam ke baad milta hun.

Tumhara mujhe ye batana ki tumhara din kaise guzra,
Mujhe ye batayega ki meri raat kaise guzregi.

Mujhko mujhmein jagah nahin milti,
Tu hai maujood iss kadar mujhmein.

Tumhare bagair ye waqt, ye din, ye raat, guzr toh jaate hai,
magar guzaare nahin jaate.

Jo ek kahaani likhi maine,
wo tere baare mein naa hokar bhi,
tere baare mein thi.

Tere aane se zara pehle,
baat tujh se hi kar raha tha main.

Shayad yun hi chalega, tera mera rishta,
agar mil gaye toh baatein lambi,
agar na mile toh yaadein lambi.

Tum samadar ho koi main Sahil hi sahi,
Tum kashti pyaar ki ho koi main besahara hi sahi,
Tum Ishq ho koi main aashiq aawara hi sahi, Tum chand ho vo khoobsurat, main sitara hi sahi.

Woh puchti hai kya tum jaan bhi de skte ho mere liye,
Yaar usey samjhao, mujhe aazmaya, toh roegi

Ab tabiyat mein koi farak toh laane se rahe,
Tu khafa hai, toh tujhe hum bhi manaane se rahe,
Tujhko jaana hai toh, jaa, teri khushee,
Lekin Sun,
Hum teri raah toh dekhenge,
Bulaane se rahe

Mujhe fursat kahan ki mausam suhaana dekhu,
Teri yaad se niklu, tab toh zamana dekhu.

Iss tarah yaad aakar bechain na kiya karo,
Ek hi saza kaafi hai ke paas nahin ho tum

Hoti hogi zarurat logo ko chaand ki,
Mujhe aapki aankhein kaafi hai

Bohot udaas se koi tere chup hojaane se,
Ho sake toh baat kar kisi bahaane se,
Tu laakh khafa hi sahi, magar itna toh dekh,
Koi toot gaya hai, tere rooth jaane se

Tu Haq jataaya kar accha lagta hai,
Mujhe sab bataya kar accha lagta hai,
Jo mujhe pasand nahin uspe tujhe ladhte dekhna accha lagta hai,
Aur khwaaish teri ho, puri main karun, accha lagta hai.

Main sudhar sudhar ke sudhara hun,
Main phir se bigad jaunga,
Aur tum puchoge ki kaise ho,
Aur main ishq mein pad jaunga

Ki maine apni kismat ki kitaab mein,
Mere pyaar ke kalam se, kuch alfaz likhe the tere liye,
Zamaana shayari kehta tha unhe, jo jazbaat likhe the tere liye

Waqt ke dar se churake tu vo pal bhi Leja, Aasma ke palko se chipa ke tu vo chand bhi leja,
Leja saari yade aur likhe hue khat maine,
Ho sake toh mujhse
ake mera dil bhi leja!

Ye kaisa nasha hai main kis khumaar mein hun,
Tu aa kar ka bhi chuka hai,
Main ab tak intezaar mein hun

Akele hum hi nahin shaamil iss jurm e mohabbat mein,
Nigaah jab bhi milti thi muskuraya tum bhi karte the

Tumse bohot kuch kehna hai magar,
Kabhi tum nahin milte kabhi alfaaz nahin milte

Koi tumhe na maang le,
Humne ye dua bhi maangi hai

Ye soch kar ke woh khidki se jhaak le shayad,
Gali mein khelte bacche lada diye maine.

Aao mil kar dhoondh le koi wajah ek hone ki,
Yun bikhre bikhre na tum acche lagte ho na hum

Nikalo toh nonch ke nikaalna mujhe apne dil se,
Main zara sa bhi reh gaya na,
Toh bohot yaad aaunga

Kisi ko talab maar gayi hamari,
Aur koi,
Humein paakar bhi khush nahin hua

Tum na laga paoge andaaza meri tabaahi ka,
Tumne dekha hi kaha hai mujhe shaam hone ke baad.

Ye meri kitaabein bhi bilkul meri tarah hai,
Alfaaz se bharpur, lekin khamosh.

Ek meri mohabbat nahin samjh paaye tum, baaki meri har galti ka hisaab rakhte ho

Palat kar isliye na dekha humne,
Agar wo na palat-tay toh dil toot jaata

Chalo mar jaatey hai tum par,
Batao, dafnaoge apne seene mein?

Kuch baatein karni hai tumse,
Ek shaam fursat se aana.
Main apne khayaal launga,
Tum apna waqt le aa na.

Main tumhe chaand keh du,
Yeh toh mumkin hai,
Magar duniya tumhein raat bhar dekhe,
Ye mujhe gawaara nahin.

Dil mein har lafz aakhon se bayaan kar paogi kya?,
Suraj yahaan bhi dhal gaya, tum ek fursat bhari shaam saath la paogi kya?

Uske chehre ki chamak ke saamne saada laga,
Aasmaan pe chaand poora tha magar saada laga.

Hum tumhe keh na sake,
Chalo aaj iqraar karte hai,
Jise tum roz dekhte ho aaine mein,
Usse hum bohot pyaar karte hai.

Maine kab kaha mujhe gulaab dijiye,
Ya phir mohabbat se nawaaz dijiye,
Aaj bohot udaas hai dil,
Gair bankar hi sahi ek baar toh aawaaz dijiye.

Bohot majboor ho kar main teri aankhon se nikla,
Khushi se kaun apne mulk se bahar raha hai,
Gale milna na milna toh teri marzi hai lekin,
Tere chehre se lagta hai tera dil kar raha hai.

Teri mushkil na badhaunga,
Chala jaunga.
Ashq aankhon mein chhupaunga,
Chala jaunga.
Apni dehleez pe kuch der pada rehne de,
Jaise hi hosh mein aaunga,
Chala jaunga

Tera chehra in aankho mein purana ho gaya,
Kahin mil tu phir se, tujhe dekhe zamana hogaya

Ek ajeeb si betaabi hai tere bin,
Reh bhi lete hai, aur raha bhi nahin jaata.

तुझे भूलकर भी न भूल पायेगें हम! बस यही एक वादा निभा पायेगें हम ! मिटा देंगे खुद को भी जहाँ से लेकिन ! तेरा नाम दिल से न मिटा पायेगें हम

Saara Din guzar jaata hai ,
Khud ko sametne mein
Phir raat ko uski yaad ki hawa aati hai
Aur hum bikhar jaate hai

Bim tumhaare kabhi nahin aayi,
Kya meri neend bhi tumhaari hai.

Kitaab, film, safar, ishq, shayari, aurat
Kahan kahan na gaya khudko dhoondhte hue main.

Tujhe mein apni gazal mein itni gehraai se likhunga,
Ke padhne walo ko tujhe dekhne ki talab hogi.

Tere maathe ke bindi ka jawaab nahin,
Teri saadgi ka koi hisaab nahin,
Tujhe khoobsoorat lafzon mein bayaan kar sake jo,
Pure jag mein aisi koi kitaab nahin.

Tinka sa main, aur samandar sa ishq,
Doobne ka darr, aur doobna hi ishq.

Ye jo mere alawa tum par marenge,
Marenge, saare ke saare marenge.

Humse taalluk rakhoge,
Toh tabiyat theek rahegi,
Hum wo hakeem hai jo,
Lafzon se ilaaj karte hai.

Tu meri rooh ki chaadar mein aa ke chha gaya aise,
Ki rooh nikle toh tu nikle, jo tu nikle toh rooh nikle.

kaash tu chaand aur mai sitara hota, asmaan mein aashiyana hamara hota.
log tumhe door se dekhte,
paas se dekhne ka haq sirf hamara hota.

“dil ameer tha aur muqaddar gareeb tha,
ache the hum magar bura naseeb tha,
lakh koshish kar ke bhi kuch kar na sake ham,
ghar bhi jalta raha aur samandar bhi kareeb tha”.

“mila woh mujhe har jagah mila na haathon ki laqeeron mein”.

“Humne tujhe dekha nahi kya Eid
manayein, Jis ne tujhe dekha ho
usey Eid mubarak.”

Ek hi hadsa tou hai aur wo yai ki aaj tak,
baat nahin kahi gayi baat nahin suni gayi

Aur to humne kya kiya lekin,
ye kiya hai ke din guzare hai.

Bataane ki baat nahin hai,
Par batane dogi kya,
Ishq bepanah hai tumse,
Ek baar jatane dogi kya?

Tere saath jo wo ek tasveer thi meri,
Meri zindagi hai wo tasveer.

Khafa bhi rehte ho,
Aur wafa bhi karte ho,
Paana bhi chahte ho,
Aur khone se bhi darte ho.

Kiya baadlon mein safar,
Zindagi bhar,
Zameen par banaya na ghar,
Zindagi bhar,
Mohabbat bhi hua chaar din,
Zindagi mein,
Raha mohabbat ka asar,
Zindagi bhar.

Zameen se door jaane ko dil karta hai,
Aasmaan mein ghar banane ka dil karta hai,
Aur jis din tumhe koi aur chhoo leta hai na,
Sach much marr jaane ka dil karta hai.

Tum haqiqat nahin ho, hasrat ho,
Jo mile khwaab mein wo daulat ho,
Kis tarah chhod dun, tumhen jaana,
Tum meri zindagi ki aadat ho,
Daastaan khatm honewali hai,
Tum meri aakhri mohabbat ho.

Meri rooh tarasti hai teri Khushboo ke liye,
Tum kahin aur jo mehko toh bura lagta hai.

Udaas zindagi, udaas mausam, udaas waqt
Kitne cheezon mein ilzam lag jata hai ek tere na hone se.

Samet ke rakha hai kudhko itne saal,
Bas ek baar bikharna hai tere gale lagke.

Thodi si roshni maangi thi zindagi mein,
Chahane walo ne aag hi lagadi.

Usko pata hi nahin intezaar ka dukh Jaun,
Main uske paas kabhi der se gaya hi nahin.

Tum jo puchho apni ahmiyat mujhse toh suno mautarma,
Ek tumko jo chura lu, toh zamaana gareeb ho jaye.

Charche nashe ke chal rahe the,
Main zikr teri nigahoon ka kar aaya,
Jab baat sukoon ki chhidi
Main baat teri baahon ki kar aaya

Maine usko itna dekha itna dekha jitna dekha ja skta tha,
Magar phir bhi
Do aankho se kitna dekha ja skta tha

“wo jo marne par tulaa hai,
usne jee kar bhi toh dekha hoga.”

Hazaar baar hui uss se guftagu
Hazaar baar koi baat reh gayi

Dil mohabbat se bhar chuka hai gaalib,
Haseen chehre bhi ab aam lagte hai

Chaand, sitaaray,phool, parinday, shaam, sawera, ek taraf,
Saari duniya, uska charba, uska chehra ek taraf.

Maine har kamre mein tasveer lagaali teri,
Ab toh jannat se bhi badhkar mera ghar lagta hai.

Chupke se bheja tha ek gulaab unko,
Khooshbu ne saare sheher mein tamasha bana diya.

Main toh fanaa hogaya unki ek jhalak dekh kar,
Na jaane aaine par roj kya guzarti Hogi.

Tu mil gayi hai toh mujh par naraaz hai khuda,
Kahta hai ki tu ab kuch maangta nahin hai.

Wo jo din guzre tere saath,
Kaash zindagi utni hi hoti

Gum hai ki barbaad ho raha hun,
Naaz hai ki tum kar rahe ho

Ye dard, ye ashq, ye sitam tumhare,
Thodi si tum bhi hoti toh kya baat hoti.

Usko dekha, toh main samjha,
Ho sakta hai,
Ek insaan bhi poori duniya ho skta hai.

Tum mera wo khwab ho,
Jisko na todne ke liye,
Ham hamesha ke liye so sakte hai

Jab talak tera sahaara hai mujhe,
Gehra paani bhi kinaara hai mujhe,
Naa bhi chamke toh koi baat nahin
Tu toh waise hi sitaara hai mujhe

Tu agar mera nahin hai,
Toh mujhe bhi zid hai,
Main tujhe bhi kabhi tera nahin hone dunga.

Nahin pasand mohabbat mein milaawat mujh ko,
Agar wo mera hai toh khwaab bhi mere dekhe

Khilaaf kitne ho farq nahin padta
Saath tum ho kaafi hai itna

dil me chupa har lafz aankh se bayaan kar paoge kya?
suraj yahan bhi dhal gaya, tum ek fursat bhari shaam sath la paoge kya?

Paas aake baitho bohot shikaayatein hai tumse
Paas aake baithe toh ek shikayat kam hai tumse

Tujhko apni rooh mein utaar lun mein,
Khudko teri chahat mein sawar lun mein,
Nahin chahiye mujhe duniya sa kuch aur
Bas ek tu mil Jaye, toh apni zindagi guzaar lun mein.

Ek shaam dekha tha tumhe yahase guzarte hue,
Aur ab meri har shaam guzarti hai tumhe firse dekhne ke liye

Kitna kuch kehna hai tumse, par teri baaton ka ho jaata hun,
Main kahin se himmat dhoondh kar laata hun
Aur phir teri aankhon mein Kho jata hun

Do gilaanson mein samandar toh nahin aaskta
Ye nazar tujhko agar dekhe toh kitna dekhe

Aaj dekhi hai teri shakal pe padti hui dhoop
Nazar aayi hai alag dhang se dekhi hui dhoop
Uske aangan mein milo subah tum aake mujhse
Dekhna chaaho agar dhoop mein baithi hui dhoop

Kahan se laau wo lafz jo tujhe sunai de,
Duniya dekhe chaand ko mujhe sirf tu dikhai de

Accha, tumhe neend se uljhan hai meri jaan,
Accha, tumhe baahon mein sulaayenge kisi din.

Laazmi hai tere badan par til ka hona,
Khoosurat cheezon ki pehredaari bhi jaroori hai

Koi beemar hum sa nahin,
Koi ilaaj tum sa nahin.

Apni nigaahon se na dekh khudko,
Heera bhi tujhe patthar lagega,
Sab kehte honge chaand ka tukda hai tu,
Meri nazar se dekh chaand bhi tera tukda lagega.

Tumhe mohabbat seekhata hun yahan baitho,
Kuchh gazlein sunata hun yahan baitho,
Kya kahan wo chaand pasand hai tumhe?
Accha utaar kar laata hun yahan baitho,
Darr kyun rahe ho, main hun na,
Accha seene se lagaata hun yahan baitho.

Mere liye paana bhi Tum,
Mere liye khona bhi tum.
Mere liye hasna bhi tum,
Mere liye rona bhi tum,
Aur jaagna sona bhi tum,
Jaun kahin,
Dekhu kahin,
Tum ho waha,
Tum ho wahin
Kaise bataun mein tumhe,
Tum bin toh main kuch bhi nahin

Itna kisi ne chaaha nahin hoga kisi ne,
Jitna sirf socha hai maine
Sajti hongi mehfilein tere naam ki
Par misaalon mein log aaj bhi yaad karte hai mujhe

Main aur meri tanhaayin,
Aksar ye baatein karte hai
Tum hoti toh kaisa hota
Tum ye kehti
Tum wo kehti
Tum iss baat pe hairan hoti
Tum uss baat pe kitna hasti
Tum hoti toh aisa hota
Tum hoti toh waisa hota
Main aur meri tanhaayi
Aksar ye baatein karte hai

Kisi ke khaatir karar hona
Koi sunega toh kya kahega
Tumhara raaton ko uthke rona
Koi sunega toh kya kahega
Kaha ye maine daro khuda se, hamare dil ko dukha rahe ho,
Wo haske bole, ke chup raho na, koi sunega toh kya kahega.

Tum baal baandh liya karo
Tumhe dekhte dekhte baar baar apni baatein bhool jaata hun.

Uski aankhein uski zulfein uske honth uske gaal ye sab toh baad ka masla hai
Mujhe toh uske naam se bhi ishq hai

Tumhein paane ki har aakhri koshish karenge,
Tumhe kismat ke hawale nahin kar sakte.

Mujhmein bikhre hue se andhere hai,
Tum aisi raaton ko apna paogi kya,
Aksar khayalon se bechain ho jata hun,
Haath thaamkar gale laga poaogi kya.

Sitaron se bhari hui raatein pasand hai,
Duur se suni uski baatein pasand hai,
Tarif ke kaabil hai uske baal bhi par,
Mujhe sabse jyada uski aankhein pasand hai.

Tum usse sundar jo sundar shabd kavi kavitaon mein likhta hoga,
Aur jab tum dekhti ho sar uthake khule aasmaan
Ki aur,
Toh kahin kisi door ek taare ko zameen par chaand chamakta hoga.

Ye aaine kya denge tujhe teri khabar
aa dekh meri aankho se kitna haseen hai tu

Kaash tu chaand aur main sitaara hota,
Aasmaan mein aashiyan hamara hota,
Log tumhe door se dekhte,
paas se dekhne ka Haq sirf hamara hota.

Ek tum jo poochh lo haal mera,
Main ghar ki saari dawaai fek du

Bin tere dekha hai maine, waqt guzarta hi nahin,
Shaam shaam si lagti nahin, din din sa lagta nahin,
Mashroof rakhta hun khud ko tere khayalon mein,
Ke tere khayaloo ke siwa dil kahin aur lagta nahin.

Mat puchho mujhse ke uss shakhs mein kya accha hai,
Acche acchon se mujhe mera bura accha hai.

Uski khushi ke liye kya kya nahin kiya humne,
Use roshni pasand aayi humne khud ko jala liya.

Koi maangi hui mannat nahin,
Naseeb wala ishq ho tum.

Koi itna pyaara kaise ho sakta hai,
Aur phir saara ka saara kaise ho sakta hai,
Tujhse jab mil kar bhi udaasi kam nahin hoti,
Tere baghair guzara kaise ho sakta hai.

Saara sheher dekh liya,
Saara sheher kaafi nahin tha,
Jab teri aankho ko dekha,
Phir kuch aur baaki nahin tha

Uski gardan par apne hothon ka nishaan chhod aaya hun,
Usne maangi thi mohabbat ki nishaani mujhse

Ud rahi hai dhool tumhare khayalon ki aandhi se
Ab lag bhi jao gale thodi baarish kara do

Yaqeenan usne phir duniya mein kuch pyaara nahin dekha,
Tumhare kaan ka jisne abhi jhumka nahin dekha.

Ke tum meri soch ho,
Koi tumhe sochein kyu,
Tum meri chahat ho,
Koi tumhe chaahe kyun,
Tum mera aaina ho
Koi tumhen dekhe kyu,
Tum meri dua ho,
Koi tumhen maange kyun.

Tumhaari saadgi pe kaise na marr mitt jaaye hum,
Tum vaar bhi karti ho par bina hathiyaar ke

Tere khat mein nazar aayi thi khaamoshi,
Ki mujhko rakhne pade apne kaan kaagaz par

Mujhe bheja tha khuda ne duniya dekhne ko,
Main ek chehre ko takta reh gaya

Tumhaari kuch tasveeron ko itna sambhaal ke rakha hun,
Jaise wo mere pure jeevan ki kamayi ho.

Takriban 5 foot kad hai uska,
Meri duniya jyada badi nahin hai.

Wo bhi raat ko nikalti hai aur main bhi,
Log use chaand kehte hai, aur mujhe aawara.

Tum puchte ho mujhse ahamiyat tumhari toh suno,
Jo tumhe chura lu, zamaana gareeb hojaega

Mujhe nahin chahiye kisi ki hamdardi,
Bas tum samjho,
Tum sath chalo,
Tum pyaar karo,
Tum fikr karo bohot hai.

Main din hun
Meri shaam tum ho
Main neend hun,
Mera khwaab tum ho,
Main lab hun, meri baat tum ho,
Main tab hu jab mere saath tum ho

Meri aankhon ke saamne tera chehra ho,
Tere chehre par mera pehra ho,
Tujhe mujhse ishq ho,
Khuda kare yeh ishq,
Kisi saahil se bhi gehra ho

Ek roz hum bhi beeti kahaniyon, en pareshaniyon se ubhar jayenge,
mein apni kahunga tum tumhari kehna, bas en baaton se din guzar jayenge,
koi nahi yahan kisi ka magar, hum puri umr sath nibhayenge,
yeh taklifen yeh khushiyan, aapas mein baat kar beetayenge,
suna hai marna toh har kisi ko hai, tum bas sath dena hum khushi khushi mar jayenge.

Aankhen toh band ki thi hamne nind ke intezaar me jo,
khwaabo ko na jane kaha se unki tasveer mil gai

Hamein shauk hai tumse guftagu ka,
Warna waqt toh hum khud ko bhi nahin dete

Ke tujhko sochu, toh sochta jau, sochta jau, sochta jau,
Bas yehi kaam kaaj hai mera.

Tu aaye aur seene se lagaaye,
Uff ye mere mehenge mehenge khwaab.

Na jaane kaunsi daulat hoti hai tere lafzon mein,
Tu baat karti hai toh saare gum khareed leti hai

Ek tum jo puchh lo haal mera,
Toh ghar ki saari dawaaiya fek dun mai

Tu mil gayi hai toh mujh par naraaz hai khuda,
Kehta hai ki tu ab kuch maangta nahin hai.

Tum wo aakhri ishq ho,
Jo pehli baar hua hai mujhe.

Tere dil mein mujhe aisi
Umar kaid mile,
Thak jaaye saare wakeel,
Mujhe zamanat na mile.

Toh kya hua agar thoda zakhm deti hai unki aankhein,
Marham bhi toh aakhir unki muskaan hi deti hai.

Milawat hai tumhare ishq mein,
Itr aur sharaab ki,
Kabhi hum Mehak jaate hai,
Kabhi hum behak jaate hai.

Ke raah dekhenge teri,
Chaahe zamaane lag jaaye,
Ya toh aajaye tu,
Ya phir hum thikane lag jae

Hazaar gum hai khulasa kaun kare
Muskura deta hun tamasha kaun kare

Agar wo puch le hamse ki tumhein kis baat ka gam hai,
Toh phir kis baat ka gam hai,
Agar wo puch le hamse

Zulfein sawarne mein der kitni lagti hai,
Aadmi ke marne mein der kitni lagti hai,
Aur aankh se bhale dil ka, faasla hi kitne hai,
Seedhiya utarne mein der kitni lagti hai.

Ye sard raat, ye aawaragi, ye neend ka bojh,
Ham apne sheher mein hote toh ghar chale jaate

Usko fursat nahin milti, ke palat kar dekhe
Hum hi deewane hai, deewane bane rehte hai.

Chaand adhura dekh, fariyaad toh karti hogi,
Maana zyada nahin karti par yaad toh karti hogi,
Din bhar bita legi hoti wo gairo ki mehfil mein,
Phir raat ke kuch pal meri yaad mein barbaad toh karti hogi,
Na socho ki raato ko jaag raha hun main akela,
Meri hichkiyan gawah hai ki wo bhi jaagti hogi.

Bachpan ke khel ko, jawaani kha gayi,
Masumiyat kha gayi, nadaani kha gayi,
Jawani ki josh ko, zimmedari, ghar, aur paiso ki pareshaani kha gayi.
Phir zindagi, kahani likh raha tha apne tajurbe ki,
Maut aayi, aur poori kahani kha gayi.

Ek aapke na dekhne se mar gaya hun main,
Ye dekh kar bhi aapko sadma nahin laga?
Fursat mile kisi roj toh aaiye,
Sadiyon se mere gaav mein mela nahin laga

Wo mere saath chalne par agar taiyar hojae,
Bhale manzil ki jaanib se mujhe inkar hojae,
Teri aankhein batati hai tujhe mujh se mohobbat hai,
Magar dil ki tasalli ko zara izhaar hojae

Aap hi ke bina hoon kyun bechain,
Aap hi kyun meri zaroorat hai,
Wehem itna haseen nahin hota,
Waqai aap khoobsurat hai.

Unse baat nahin hui subah se,
Yaa yun kahe,
Subah hi nahin hui subah se

Ke tere jaisa koi mila hi nahin
Kaise milta, kahin par tha hi nahin
Tu jahan tak dikhai deta ha,
Usse aage mein dekhta hi nahin

Koi bhi baandh sakta hai,
tere pairo mein payal jaan,
magar kya wo tere jooton ke feete baandh sakta hai?

Likh raha hun main aisi chitthiyaan mohobbat mein
jaise mujhko milni ho degeeyan mohobbat mein
Aur jang mein jihne abtak tum jhuka na paaye the,
jhuk rahi hai wo saari pagdiyaan mohobbat mein

Ek janam mein teri kya tareef karu
paani bhi jo dekhe tujhe toh khud pyaasa hojaye

Na maalum hum kya kiye ja rahe hai
mile zindagi so jeeye ja rahe hai
zeher ho ya zamzam hamein kya padi hai
tere haath se hum peeye ja rahe hai